Monday, July 13, 2009

स्वप्न में एक जीवन जिया था

Swapn mein ek jeevan jiya tha...
Ek aisa jahan dikahi diya tha...
Jahan Na hindu the na musalman the...
Jahan Sirf aur sirf insaan the....
Mazhab sab ka pyaar tha....
Khuda ke roop mein yaar tha....
Na thi shikan kisi ke chehron pe...
Na aankhon mein kisi ke aansoo the...
Honthon pe muskurahtein si bikhri thi bas.....
Aankhon mein umeed thi sapne the....

Swapn mera toot gaya wo jahan peeche choot gaya...
Yahan to hindu hain musalman hai....
Yahan kahan woh jahan hai...
Yahan kahan dilon mein pyaar hai...
Yahan to bas bandookein aur talwar hain...

Aman swapn adhoora hai poora ho nahi sakta...
Tera sapno ka jahan- jahan mein kahin ho nahi sakta...