Thursday, June 18, 2009

Moksha


Nistabdh pada tha dhara par....
Nishfal jeevan jee raha....
Sansaar ke nishthur haathon se Rishton ki haala pee raha.....

Main thak gaya hun chalta-chalta....
Ab MOKSHA mujhe khud paas bulaye....
Moh-paash se is jeevan ke...
Ab MOKSHA mujhe nijaat dilaye..

* Nistabdh=Feelingless, dhara=earth, nishfal=without result, nishthur=cold, haala=alcohol
moh-paash=net of desires

4 comments:

  1. :0 dis ws d abhi tak ka best one.... really....

    ReplyDelete
  2. Lajawab,aman :)
    1 suggestio bro,
    instead of giving the english meaning then and there, u could give the meaning at the end ..
    It gives the continuity..

    ReplyDelete
  3. aman bhai tu ye kyon bhul jata hai ki tu ye blogs, mere jaise layman k liye bhi likhta hai, jiska aisi bhashao me hath thoda tang hai..........

    ReplyDelete