Thursday, June 18, 2009

This one is For you GOD...

Teri vehshat ke sadke ab to main bhi Zid pe aaya hun.....
meri is khastagi main ae na-khuda tune haar payi hai.......
Ke ab tere hone na hone pe baat aayi hai.....

Jab zakhm nasoor hue tab yeh khayal aaya tha......
Ke dor-e Nigah teri Rehmat ki pade mujhpe bhi shayad.....
Fakat isi intezaar mein kai shab yuhi bitai hai.....
Ke ab tere hone na hone pe baat aayi hai.....

Mere Zakhm nahi sahi waqt ki nazakat to dekh.......
Kaafir hue sab.....itne sitam mere rehbar.....
Kahan gaya tera Rosh-ne Jammal ke ab yeh haalat aayi hai.....
Ke ab tere hone na hone pe baat aayi hai....

Kaabe mein dhoonda....
Butakade main dhoonda....Dhoonda tujhe har ek shaksiyat mein....
Par aman har jagah bas mayoosi hi pai hai....
Ke ab tere hone na hone pe baat aayi hai...

Veeran beest jaisa hai mahaul yahan....
Sabz patte Behis kople....
Kaun kehta hai ke gulshan mein bahar aayi hai.....
Ke ab tere hone na hone pe baat aayi hai....

Nigah-e-naaz mein meri paya khud ko khuda ne hashr ke din.....
Kaafir kyun ho koi....
Yeh to be-dili hai mujhse jo Zahan pe chayi hai.....
Ke ab tere hone na hone pe baat aayi hai....

-------------------------------------------------------------------
Vehshat--Cruelty, sadke--due to, khastgi--pitied situation
Dor-e-nigah-- Blessings, fakat--only, Shab--night
Roshan-e-jamal--Divine light
Kaaba-- mosque, Butkada--place of worship
Beest--old shattered building, sabz patte--dead leaves, behis kople--without life buds.
Nigah-e-naaz--Eyes carrying honour and respect for someone, Hashr--day wen the fate is decided, be-dilli--annoyance

2 comments:

  1. u knw... is pe to i cn nt comment .. coz to comment ..no words.... [:|]

    ReplyDelete
  2. khudi ko kar k buland itna pada wo jaise taise, khudi ko kar k buland itna pada wo jaise taise, k khuda ne khud pucha, beta ab samjhega kaise........hahahaahhahahahah.........gud one sarkar..........lage rahhhhhhhhhhooooooooo

    ReplyDelete